Social Icons

Friday, 27 March 2015

Hazrat Imam Ghazali RA Quotes | Best Collection of Imam Ghazali Quotes



  • aurat main aik kamzori hai jis ka ilaj tahamal hai ise ranj nai dena cheiy bul'ke iska ranj sehna chiey
  • apne muhamlat se hoshyar or chokana rehna or soch samaj kar kamkarna sahadat ki kunji hai 
  • jiska libas bareek or halka hogaya uska deen b zaheeff hogaya
  • zalim ke marne se malool hona bhi zulam main shamil hai
  • mal haram se sadqa dene wala napak kapra peshab dhone  wale ki misal hai 
  • jo insan haram khata hi iske tamam ahzaa gunah main parr jate hain
  • agar mustajab ud dawat banna chate ho to luqma halal ke siwa pait main kuj naho 
  • bazar ke ander zikar e ilahi ma mashgool insan murdon main zinda ki misal hai , magroor main ghazi ki misal hai or khushak drakhto main sarsabz ki misaal hi
  • mohtajo se mehnga mal khreedna ehsan main hai or sadqa se beter hai
  • jo iman rakhta hai ke akhirat dunia se beter hai wo sab aitiat kar sakta hai 
  • ameero or badshao se mail jol na rakho jo deen se nafoor or shreeat se door hain . buk'ke inko daikho bhi nai masla taqdeer mushkil masla hai is main behes se mumaniat hai
  • makhlooq se aisa muhamla karo jisa inse apne haq main pasand karte ho
  • khaliq se aisa muhamla karo jo jesa tum apne gulam se apne lie karana chate ho
  • alim ka mutalia kia karo or wo illam apne dil ke halat janne ka ha
  • khorak bhooke se kam khao taake qawat e ibadat or sehat mayassar aye
  • pajama adha libas hai ke yeh zayada satar posh hai
  • mehman ke sath takaluf na kero warna mehman rakhne ko dushman rakho ge
  • wo shakhas bara gunahgar hai jo mahazar ko robaro lana haqeer samje ya jis ke robro lain ge wo haqeer jane
  • majlis main takia laga ke batna makroo hai or nishan e takabur hai 
  • takleef main zayadti muhabbat main kami ka bahis banti hai
  • bhook se pehle khana makroo bhhi hai or makroom bhi
  • khane main aib na nikalo napasand ho to na khao
  • agar koi qaraz le or dene ki niat na hoto wo chor hai
  • abid ko khana khilana ibadat main madad karna hai 
  • wo dawat sab se badtar a jis main ameer bulae jain or maskeen na hooon
  • dawat be neeat sunnat or faqeero ki rahat ke khayal se karni chiey naake barai or shawat ke lie
  • dawat qabool karne main ameer or greeb ka faraq na kar rah door hone ki waja se dawat radd na kar
  • mehman ke robaro tora khana rakhna bemarwati hai or had se zayada rakhna takabur hai 
  • ziafat ke khaen main israf nai hai 
  • nikah deen ka hasar hai or shewat shetan ka hathiar hai nikah iske sher se bachane wala hai 
  • sabse bari dolat zuban zakir , dil shakir or zan farmanaberdar hai 
  • aurat ki bad ikhlaqi pa sabar karna iski zaroort poori karna or rah e shara pa isko qaim karna betr ibadat hai
  • jo kasab halal na kar sake uska nikah nakrna beter hai ku ke kasab haram aisa hunah hai ke koi naiki iska tadarak ai kar sakti 
  • aurat ki bad-khalqi pa sabar karne wala Hazrat Ayub AS ke sabar ke barabar sawab pae ga
  • nikah na karne wala go shargah ko bacha le magar nazro ka bachana isko mahal hai
  • qaraz bagair taqaza ke ada kardena qarazdar ki taraf se ehsan hai
  • jo shakhas mal kafi rakhta ho iske lie kasab kerne se ibadat beter hai








No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates