Social Icons

Friday 27 March 2015

Hazrat Imam Jaafar Saadiq AS Quotes | Best Urdu Quotes


Hazrat Imam Jaafar Saadiq AS Quotes

 

  • jo koi Allah se muhabbat rakhta hai usko khalaq se wahshat ho jati hai
  • apne tain Allah ke muharam se bachao taake abid ho or jo kuj qismat main hogaya ispa raziraho
  • fajir se muhabbt na rakh kek tuj pa fasaq or fajoor galib ajae ga . mushawrat aise logo se kar jo itahat e khuda khoob karte hain
  • toba karna asan hai magar gunah chorna mushki
  • gunah pa israr insano ki hilakat ka muajab hai
  • doosro ke mal ka lalich na karna bhi dakhil sakhawat hai 
  • dil ki aankh ibadat se khulti hai iski rasai la makan tak hai or kainat ka koi raz isse chupa nai 
  • insan ke pas aisi qawat hai jo mustaqbil main jhank sakti hai ye us waqat bedar hoti hai jab hawas e khamsa so rahe hoon or damag mushaidat ki mudakhlat se azad ho
  • tagayyar asas kainat hai pani kahi sajab ban raha hi or kahee moti or kahi aansoo noor e zulmat ma badal raha hai or zulmat noor main
  • insan amal ma azad hai to laikin iski azadi la mahdood nai is lie ke iske ikhtiar main kuch shaiba jabar nai
  • behad aitaqadi barbadi or nukta chheeni bad naseebi hi
  • intiqam ki qudrat rakhte hue gussa pee jana afzal tareen jahad hai
  • ibtila aik sharaf hai is lie khasan e haq ismain mubtala kie jate hain 
  • nafas Allah ka mukhalif hai or nafas ki mukhalifat khuda ki dosti hai 
  • gaza se jisam ko or qanahat se rooh ko rahat hoti hai
  • saeed wo hai jis ka dil alim ho or badab sabir ho 
  • kam umar wale ke gunah apne se se kam jan kar iski izzat kar 
  • gunah nasoor hai agar tarak na hua to barabar barta jae ga'
  • shikayat tarak karna sabar hai
  • jo har admi ke sath suhbat rakhta hai wo salaamat nai rehta 
  • khushamdi log tere lie takabur ka takham hain
  • ibadat bila toba drust nai hoti ku ke ALLAH ne toba ko ibadat par muqadam kia hai
  • aik gunah bohot hai or hazar tahat qaleel
  • zoq e soofia koi tareeq ilawa kitab o sunnat nai 
  • ulama ka faqar ikhhtiari hota hai or jehla ka aztarari
  • admi ki naik bakhti is main hai ke iska dushman aqalmad ho 
  • mutakabar itahat karne wala aasi hai or aasi azar ke sab itahat kerne wala hai
  • isko khushi ho jiski aankh shawat daikhti hai or iska dil inko nai chata hai
  • hamara deen sarapa dab hai jo isko malooz nai rakhe ga wo harma naseeb hai 
  • barra zuhud dunia main ye hai ke logon ki mulaqat se kinara kash ho jae
  • fazeelat agarca jamat main hai magar salamti gosha nasheeni main hai 
  • zayada shikam seri or faqakashi dono manih ibadat hain
  • khuli hoi adawat munafqana mawafqatse beter hai

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates