Social Icons

Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Sunday 5 April 2015

Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi

Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi
Ab Aae Dil-e-Kam'Zarf, Kisi Shehar Mein Bass Bhi

Thukraa Ke Jo Aaya Hai, Samandar Ki Sakhaa'wat
Ab Dasht-e-Musaafat Mein, Ghata'on Ko Taras Bhi

Main Payas Kaa Sehraa, Ke Guzar-Gah Hoon Teri
Toa Abbar Ki Soorat Hai, Kabhi Mujh Pay Baras Bhi

Mohsin Mujhe Cher'rain Gay Bohat Chaand, Nadi, Phool
Aaya Naa Meraa Yaar, Aggar Ab K Baras Bhi.

Mohsin K Khayalon Mein Utarti Hain Sar-E-Sham

Mohsin K Khayalon Mein Utarti Hain Sar-E-Sham.

Rim Jhim Ki Tarah Baandh K Ghungroo Teri Yaadein

Chehra koi bhi Aankh mein thehra na phir kabhi

Chehra koi bhi Aankh mein thehra na phir kabhi
Dil ne kisi bhi shakhs ko chaha na phir kabhi

Rootha zra si baat pe uth kr chala gaya
Aysa gaya k laut k Aaya na phir kabhi

Kuch youn mila Tpaak se bus ishq ho gaya
Woh ajnabi tha kon tha' socha na phir kabhi

Us ne Btaur tohfa diya tha Libas-e-hijr
Pehna jo ik baar' utaara na phir kabhi

Mohsin !.. Guzr chuka tha had-e-aitdaal se
Jany kahan gaya' usay dekha na phir kabhi
*************************************

Iss sheher main aisi bhi qayamat na hui thi

Iss sheher main aisi bhi qayamat na hui thi
tanha the magar khud se to wehshat hui thi

yeh din hai ke yaron ka bharosa bhi nai hai
wo din the ke dushman se bhi nafrat na hui thi

ab sand ke ehsaas bhi ek baar e giraan hai
khud apne khilaaf aesi baghawat na hui thi

ujrre huey iss dil ke har ik zakham se poocho
iss sheher main kis kis se muhabbat hui thi

khawabon ke hawa raas thi jab tak mujhe Mohsin
youn jaagte rehna meri aadat na hui thi
 
 
Blogger Templates