Social Icons

Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Monday 6 April 2015

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle

Sunday 5 April 2015

Tar Hue Khoon Main | Love Poetry

Tar Hue Khoon Me'n
Kabhi Khaak Pehn Kar Aaye,

Ham Hamesha Nayi Poshaak Pehn Kar Aaye,

Ek Ajab Rang Se Nikla wo
Sar_e_Raah K Log,

Jism Par
Deeda_e_Bay Baak Pehn Kar Aaye,

Hum Ne Sadiyo'n Ki Hathaili Rakhi Hai'n Aankhe'n,

Koi Lamha Tera Idraak Pehn Kar Aaye,

Saaniha Kon Sa Guzra Hai Saba Se Poocho,

Chand Jhonke Khass 0 Khaashaak Pehn Kar Aaye,

Ashk_e_Shehr_e_Shab_e_Gham Apni Dua Hai K Kabhi,

Misl_e_Khursheed Tu Aflaak Pehn Kar Aaye,

Zakhm Ko Zidd Thi Maseehaai Se Ab K warna,

Harf_e_Marham Kayi Chalaak Pehn Kar Aaye,

Aaj Milna Tha UsSe Zakhm Chupa Kar 'Mohsin'

Hum Magar Jama_e_Sadd Chaak Pehn Kar Aaye 

kabhi hum bhi sher kaha karte the

Baat pholon ki suna karte the
kabhi hum bhi sher kaha karte the

mashalin le ke tumare gham ki
hum andhero ma chala karte the

ab kahan aaisi tabehat wale
chot kha kar jo dua kerte the

tark e ehsas e muhaabat mushkil
han magar ehl e wafa karte the

bikhri bikhri hui zulfaon wale
qaafle rok lia karte the

aaj gulshan main shagofe Saghir
shikwa bad e saba karte the
 
 
Blogger Templates