is qoum ki halat kis qadar qabil e rehem hai jo aik seena zor shakhas ko apna heero banati hai or bazahir shandar fatih ko faiz rasan tasawr karti hai
tumari shadmani darasal tumara gam hai jise be naqab kar dia gaia hai
falsafi ko rooh iske damag main noti hai shair ki iske dil main laikin raqasa ki rooh iski roohain ,roohain se tharakti hain
log muje pagal samjte hain ke main inki zindagi dirahm deenar ke badle nai bechta main logo ki pagal samjta hoon is lie wo muje diram deenar ke badle bik jane wali cheez samjte hian
muhabbat dil ke sehra main aik sar-sabaz o shadab qila zameen hai jahan fikar ke qafle nai pohnch sakte
agar tum ne har hal mai khush rene ka fan seekh lia hai to yaqeen karlo zindagi ka sabse bara fan seekh lia hai
kitna shreef hai wo gham ka mara dil jiska gam ise shado khuram dilon ke sath khushi ke rag gane se na rok sake
shakhawat yeh hai ke apni istitahat se ziada or astaghna yeh ahi ke apni zaroorat se kam lo
arzoo nisaf zindagi hai or be hisai nisaf mout
yaad rakhna bhi mulaqat ki aik shakal hai or bula dena b tajrud ki aik soorat
jab koi insan qatal karta hi to qatil kehlata hai or jab jaj ise mout ki saza ka hukam deta hai to munsif kehlata hai
kitni zayada hin wo aurtain jo mardo ka dil luba sakti hain kitni kam hai wo artain jo iski azmat ki hifazat kar sakti hain
I like this author and his works very much, specially his quotations. Thanks for sharing!!
ReplyDelete