"Hazrat Hassan Basri
(R.A) bht baray bazurg guzray hain.
Kisi ne un se kaha:
Mainey suna hay jo Gunahgar hotay hain
un se Allah apni nemtain cheen leta hay.
Koi gunah aisa nahi jo mainey na kia ho
phir bhi mere pass her nemat hay.
Achi aulaad
Acha ghar aur maal.
Aap ne us se puchha:
Kya kabhi Qiyam-ul-Lail naseeb hui?
Kabhi namaz main khushoo o khuzu naseeb hua hay?
Kabhi dua main raghbat hui hay?
Kabhi Quran ki tilawat main lazzat mehsoos hui?
Us shakhs ka her jawab 'Na' main tha.
Tab aap ne fermaya:
Yehi tu mere RABB ki wo nematain hain
jo Wo gunahgar bandon ko nahi deta"..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin