skip to main |
skip to sidebar
Khalil Gibran Quotes
- is qoum ki halat kis qadar qabil e rehem hai jo aik seena zor shakhas ko apna heero banati hai or bazahir shandar fatih ko faiz rasan tasawr karti hai
- tumari shadmani darasal tumara gam hai jise be naqab kar dia gaia hai
- falsafi ko rooh iske damag main noti hai shair ki iske dil main laikin raqasa ki rooh iski roohain ,roohain se tharakti hain
- log muje pagal samjte hain ke main inki zindagi dirahm deenar ke badle nai bechta main logo ki pagal samjta hoon is lie wo muje diram deenar ke badle bik jane wali cheez samjte hian
Abul Kalam Azad Quotes | Aqwal E Zareen Abul Kalam Azad
- insan ki sabse barri aqalmandi ibrat bazeeri hai magar sabse bari galti gaflat or aghmaz hai
- alim e taqdeer khamosh nai hai wo aik imam e natiq hai isne majmoi tor par tamam alam ki qismat ka faisla azal hee main kar dia tha laikin ashkhas o aqwam ke taqdeer kak faisla hamesha hota reta hai
- agar sachai ko iski asal zaroorat ke waqat paish na kiya jae to us ke wajood ka itraf bekar hai or charagh jalane ka asli waqat garoob aftab ke bad ata ai ne ke pichle peher
- gulami ke chae kese haseen na ku na rakhe jain gulami beher hall gulami hai
- drakhat sab bote hain laikin har shakhas ke naseeb main yeh nai hota ke phal bhi khae wo mubarak hath hai jo takham pash ke bad hee apne ddaman mai iske phalon ko bhi daikhe
- dilo ki aqleem mian minton or lamhon ke ander inqalab ajata hai or iske inqalab se is dunia ke inqalab wabasta hain
- zuban ki pukar zaya ja sakti hai par amal ki sada kabhi jawab lie bagair nai reti
- insani ana ka kamal ye hia ke wo khuda se mushaba ho jey
- hussan, khusboo, naghma or zeb o araish alag alag nam hain laikin haqeeqat siraf aik hee naqhma hai yaani adal o aitidal
Hakeem Amin Dola Quotes | Aqwal e Zareen By Hakeem Amin Dola
- kabhi is bat ko na bhoolo ke jitne amraz kitabo main likhe hain bass inke siwa koi ior bemari nai ku ke bohot se amraz bala e asmani ban kar nazil hote hain'
- agar badan main koi aisa kanta cahuba ho jo adha gosht main garr gaya ho or nisaf abhi bahir hoto khayal na karna chie ke tum isko nikal hee loge mumkin hi ke wo toot jae or baqi hissa bagair nashtar lagae nikal na sake
- libas is qisam ka pehena chey ke jahil daikh kar hasad na karain or ala tabqa tum ko haqeer na samje
- jo insan khuda ki bakhshi hui doalat main se khuda ke bando ka haq ada nai nikalta iska mal napak hai or mal se sath iska nafas b napak hai
- Islam dolat ki masawana taqseem ka qail nai bulke munsifana taqseem ka qail hai
- phoos ke pholo ka anbar khawa kitna hee bara ho kabhi qila nai ban skta
- medano ke muqable main jii churana or qilon ke peeche chupna buzdili hai
- anjam ka faraq aghaz ke faraq ka nateeja hai
- qawat hee haq hai or kisi qoum ke lie iski apni taqat ke siwa iske haqq ki hifazat ka koi zareeha nai
Fatima Jinnah Quotes | Urdu Quotes Fatima Jinnah
- buzdil bar bar marte hain or bahadur ko siraf aik bar mout ati hai
- jab tak har shakhas apna fareeza ada karne ka azam na kre qoum kabhi taraqi nai kar sakti
- azadi ki hifazat qwaneen se nai jazba amal o isar se hoti hai
- usoolo pa kabhi mafaimat na karain jin logo ne azmat or barai hasil ki hai unho ne usoolo pa sakhti se amal kiya apne maqsad ke lie sab kuj qurban kiya
- insani rooh azadi e rae ke lie bechen rehti hai or masawi fawaid bhi kabhi azadi ka nehem ul badal nai ho sakte