Social Icons

Sunday, 5 April 2015

Tar Hue Khoon Main | Love Poetry

Tar Hue Khoon Me'n
Kabhi Khaak Pehn Kar Aaye,

Ham Hamesha Nayi Poshaak Pehn Kar Aaye,

Ek Ajab Rang Se Nikla wo
Sar_e_Raah K Log,

Jism Par
Deeda_e_Bay Baak Pehn Kar Aaye,

Hum Ne Sadiyo'n Ki Hathaili Rakhi Hai'n Aankhe'n,

Koi Lamha Tera Idraak Pehn Kar Aaye,

Saaniha Kon Sa Guzra Hai Saba Se Poocho,

Chand Jhonke Khass 0 Khaashaak Pehn Kar Aaye,

Ashk_e_Shehr_e_Shab_e_Gham Apni Dua Hai K Kabhi,

Misl_e_Khursheed Tu Aflaak Pehn Kar Aaye,

Zakhm Ko Zidd Thi Maseehaai Se Ab K warna,

Harf_e_Marham Kayi Chalaak Pehn Kar Aaye,

Aaj Milna Tha UsSe Zakhm Chupa Kar 'Mohsin'

Hum Magar Jama_e_Sadd Chaak Pehn Kar Aaye 

tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujh ko nisbat

tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujh ko nisbat!
 meri gardan mai bhi hai dur ka dora tera

Tuj Main Or Muj Main Faqat Yehi Faraq Hai Mohsin

Tuj Main Or Muj Main Faqat Yehi Faraq Hai Mohsin
Tera Kuch Kuch Hai Ali,Mera Sab Kuch Hai Ali (AS)

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De,
Ya Phir Kisi Toty Howe Guldan Mein Rakh De.

Chahat K Charaghon Ko To Jalna Hy Jalenge,
To In Ko Utha Kar Bhaly Tofan Mein Rakh De.

Qadmon Mein Tere Masly Howe Phool Nhe Han,
Chahat Ki Chitta Hy Kisi Shamshan Mein Rakh De.

Saansein Na Chuka Paai Hon Qemat Jo Wafa Ki,
Ab Jism Ki Matti Ko B Tawan Mein Rakh De.

MOHSIN Tere Jazbat Yahan Kon Sunega,
Be Rabt Khayalat Ko Deewan Mein Rakh De.

Ab koi chand mera hy na sitara mohsin

Ab koi chand mera hy na sitara mohsin
ab kahan jaoun ga mai dard ka mara mohsin

mujh ko tufan my rehny ki bahhut adat hai,
mujh ko lay jao na sahil pe khudara mohsin,

dard ki rah my tum roz chalo gy kub tak?
ab b kar sakty ho tum ham sy kinara mohsin,

aag lag ati ha apnoun k diloun my jis say,
karty q ho wohi baat dobara mohsin,

raat andhery my mery ghar ko jalaya kiss ny,
mujh ko yh kaam bhi lagta hy tumhara mohsin...
 
 
Blogger Templates