Social Icons

Tuesday, 19 May 2015

Zulfiqar Ali Bhutto Quotes | Urdu saying of Zulfiqar Ali Bhutto


Zulfiqar Ali Bhutto was founder of Pakistan People Party.He become Prime Minister of Pakistan in 1970, Present constitution of Pakistan is given by Him in 1973
  1. kisi mulk ki kharja policy is ki dakhli palision or qoumi mafad par tashkeel pati hai or kharja palisian dakhli halat par hamesha asar andaz hoti hain
  2. hamain aisi imdad ki zaroorat nai jo hamain qoumi mafad se be khabar bana de
  3. awam ki awaz pa kaan dharo , awam ki awaz Allah ki awaz hai
  4. dunia ki koi taqat gurbat, aflas or jahalt ke khilaf jadojehed nai rok sakti
  5. jamhooriat waqei koi hathi nai yeh taza hawa ke jhonke kee tarha hai
  6. qawat ka sar chishma awam hain 
  7. siasat main afham o tafheem se kam nikalta hai

Mohammad Ayub Khan Urdu Quotes



  1. hamain is bat ki ijazat nai deni chieye ke glat fehmian ,waswasey ,shakook o shobat hum main phoot dalian.sab se barr kar hamain yeh seekhna hai ke aik doosre ke jazbat or ehsasat ka ehtiram karain
  2. nazriati ikhtalafat ko talkhi or tashadud main nai dhalna chieye
  3. mashriq main woi jamhooriat kamyab ho sakti hai jo bara e rasat awam se tahaluq rakhti ho jise awam samjain or amal main lain
  4. hamari mehnat or isar hamari ainda naslon ki purwaqar azadi zindagi diantdari or maqsadiat ke pesh khema ho sakti hai
  5. qoumo ka difah aslah se nai balke jazba e iman se hota hai

Monday, 18 May 2015

Best Words From My Diary

Shaikh sadi kehte hain ke tahajub hai ke Allah apni sari makhlooq main se muje nai bhoolta magar mera to aik hee Allah hai jab ke main usko bhool jata hoon
agar andhere main saya sath chor deta hia to zayada roshni main bhi sath nai deta

faraq bus itna hai ameeri main hum logo ko chor dete hain or ghreebi main log hamain chor dete hain

Sunday, 17 May 2015

log hote hain beshter jese

log hote hain beshter jese
band khirki ke mulgaje sheeshe
jinko sooraj ki taiz chamkeeli
dhoop din bhar ujal rakhti hai
sham ke sath hee magar unki
mungujahat bhi lout aati hai
or phir wo siraf chamkte hain
jinke ander ho roshni apne!!!!

zindagi ke raste main Amjad Islam Amjad

zindagi ke raste main
zindagi ke raste main har kisi ko marna hai
sab hee mar bhi jate hain
jeene ki tarha laikin koi koi jeeta hai
 
 
Blogger Templates