Social Icons

Sunday, 17 May 2015

jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain

jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain
dil ashaaq main halchal si macha dete hain

jaam o meena pa hee nai mouqoof  unka karam
mouj main aain to aankhaon se pila dete hain

koi bete to sahi ehle nazar main ja kar
dil ko aik aan main aina bana dete hain

hal e dil usne jo poocha to bhar aye aansoo
naram alfaz bhi zakhmon ko hawa dete hain

too ne daikha ke tere hijar main rone wale
hanste mahool main aik aag laga dete hain

waja e barbadi dil koi agar poochta hai
rone wale teri tasweer dikha dete hain

ab yahi shugal hai din raat muhabbat main naseer
ashk beete huey lamhon ko sada dete hain

kabhi unka naam lena, kabhi unki baat karna

kabhi unka naam lena, kabhi unki baat karna
mera zouq unki chahat mera shouq unpa marna

wo kisi ki jheel aankhain wo meri janoon mizaji
kabhi doobna ubar kar kabhi doob kar ubarna

shab e gham na pooch kese tere mubtala pa guzri
kabhi aabar ke girna kabhi gir ke aah barna

wo teri gali ke tewar wo nazar nazar pe pehre
wo mera kisi bahane tuje daikhte guzarna

kahan mere dil ki hasrat kahan meri narsaai
kahan tere geson ka tere dosh pa bikharna

tuje daikh kar na jane abhi kiyoun hai log zinda
hai ajeeb badmazaqi tuje daikh ker na marna

chale lakh chal dunia ho zamana lakh dushman
jo teri panah main ho use kiya kisi se darna

wo karain ge nakhudai to lage gee paar kashti
hai naseer warna mushkil tera paar youn utarna

Best Urdu Story By PaKrider

"Koi bhi maar sakta hai use" Imran ne juice ka glass table par rakha aur ek cigarette jalayi, "I mean think about it. Us party mein maujood har insaan ke paas vajah thi Neelam Dhanraaj ko maarne ki"

"Baat toh sahi hai" Sub-Inspector Chandelkar ne jawab diya, "Par sala soch, party thi vahan, itne saare log maujood the aur sabki naak ke neeche ek aurat ko goli maar di jaati hai. Na kisi ne kuchh dekhna, na suna"

English Story For Kids


 To get a in need of impressionist cityscapes within sources to decorate my home I opt to drape style that had been formulated mapa-polskii pl Mapa polski within the past 20 years There so many amazing music artist choices We have made up my mind that need a few impressionist cityscapes painted around acrylic I is buying one described as Raining Sweet which were emblazoned through process of a performer titled

Saturday, 16 May 2015

sitaron ko badalna chatey hain

sitaron ko badalna chatey hain
tere hum rah chalna chatey hain

bohot bar-haq sahi pasti hamari
magar ab hum sambhalna chatey hain

seher jesi bhi ho ,phir bhi seher hai
shab e gham se nikalna chatey hain

chaton se baraf rukhsat ho rahi hai
yeh mousam ab badalna chatey hain

mehkey shoukh jazbon ki tarha hum
tere dil main machalna chatey hain

nai rukti same ki taiz aandhi
dieye to kab se jalna chatey hain
 
 
Blogger Templates