Social Icons

Saturday, 16 May 2015

rang kuch or hee bahar main they

rang kuch or hee bahar main they
hum kisi or intizar main they

ik khushboo rawan thee charo taraf
sare mousam usi khasar main they

ghor kijieye to kuch nai khulta
hum hain ya agle log ghar main they

kitne hote they muhtaram hum bhi
jab teri chashm e aitbar main they

sare manzir dayar e hasti ke
apne hone ke intishar main they

asman aik tha magar hum tum
apne apne kisi madar main they

usne daikha nai jise AMJAD
hum bhi shamil usi qitar main they

hum nai kehte hamari, teri dunia ho jaye

hum nai kehte hamari, teri dunia ho jaye
itne rangon main koi rang to apna ho jaye

ishq wo turfa bala hai ke kare jiski talab
usko maloom na ho, sher main charcha ho jaye

do sitaron ko jo daikhon teri aankhain ban jain
chand ko dehayan main laon tera chera ho jaye

har dora'he pa nigahban khari hai qismat
kese mumkin hai ke har shakhas ka socha, ho jaye!

hum ko har bazam main ,har hal main such kehna hai
sher ka sher kahafa hota hai,acha ho jaye

husan ki aankh wo takhsees talab hai AMJAD
bheer ho charo taraf or koi tanha ho jaye

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye
dunia hai yeh, yaha pe jieye bin raha na jaye

kat'ti nai yeh zindagi umeed ke bagair
yeh jam wo hai jis ke pieye bin raha na jaye

chahat ka zakham dil ko tamasha bana na de
aisa hai chaak jis ko sieye bin raha na jaye

dunia ke is fashar main hai uski yaad youn
aandhi ho taiz or dieye bin raha na jaye

ik simat tera hukam hai ik simat kainat
yeh boj apne sar lieye bin raha na jaye

apne bakhton pa jo khush ho wo there khush bakhat

apne bakhton pa jo khush ho wo there khush bakhat
apni talab se barr kar jis ki khawish ,wo mardood

do lafzon main darj hai sara andar bahir dunia ka
chaye ab to mangta ban ja, chaye bin masjood!!

chalo phir lout kar daikhain | 14 August Poetry

kaha dil ne , zara thero ke aisi hee sahat koi
hamare dar par theri the
to hum ne bheer se ik qafle ka roop dahara tha

chalo phir lout kar daikhain
wo khushboo se bara rasta
(jo manzil ki nishani tha) kahan khoya!

yeh jo uljan bare manzaer hamare sath chalte hain
kahan ke hain!
wo kesa more tha jis par
hamari rehguzar ke hashion pa dhund utri thi
yeh jo charo taraf pagad-nadion ka jal phela hai
kahan buniad hi iski
 
 
Blogger Templates