Social Icons

Saturday, 16 May 2015

aik din hum or tum waqat ke sehra main

aik din hum or tum
waqat ke sehra main
ho jain ge gum

kesa hai dastoor!
daar nai laikin
har koi mansoor

tera mera sath
hath main badil ke
tez hawa ka hath

dooba jaye dil
dono waqat mile
abto sajan mil

bante rango se
daikho dunia ko
meri aankhon se

is duniya main | Amjad Islam Amjad

is duniya main
kitne sukh hain us dunia main or dukhi kitne!
kitne khali hath hain daikho or sakhi kitne

roz e azal se is lamhe tak
khali hathon or bare shikmon ke malik
aik hee neel gugan ke neeche
aik aise dariya ke soorat rawan dawan hain
jiska koi anat nai
or jiska aik kinara apne doosre sathi se ojhal hai
in dono ke milan ki khatir aye bani kitne
is chinta main rakh hue hain log gani kitne

laikin phir bhi dil kehta hai

aakhri shola ban jane tak aag se larte jain
jab tak rasta ruk nai jata age barte jain

jalte the hont payas se, darya tha samne | Salam E Karbala

jalte the hont payas se, darya tha samne
laikin waqar e tashnagi, thera tha samne!

tanha ho jese koi diya aandion ke beech
aise wo is jajoom ke aya tha samne

khemon main aag, rait pa lashe pare huye
dhalti the dhop, sham thi, sehra tha samne

lakhon ki thi Hussain nazrain lagi huin
laikin waha to aik hee rasta tha samne!

yyeh bhi nai ke usko saza ki khabar na thi
hona tha jo bhi faisla likha tha samne

aik pal main roshni ke mani badal gaye
usne ajab charag sa rakha tha samne

likhta tha wo rait pa lahoo se payam e haq
dil ki har ik bat wo kehta tha samne

Yahi Ji Main Hai Tere Sher Main By Amjad Islam Amjad

yahi Ji main hai
teri rehmato ke hasar main tere astan pa khara rahon
teri oontni ke safar main jo, urri rait, urr ke dhanak bani
use apni aankh se choom loon, use apni jaan main utaar loon
use mohtaram se gubar main tere raston par para rahoon

yahi ji main hai tere sher main
kabhi aise ghoomo gali gali
tera naqash e paa mere sath ho

Hammd By Amjad Islam Amjad | kabhi jo ghor se daikhain

khala andar khala pheli hui be nam wushat main
kabhi jo ghor se daikhain
to such much hamare is qadar nazdeek lagta hai
ke jese agar hum chain to usko choo bhi sakte hain

falak ke bekarani main
sitare uske namo ka dilon main wird karte hain
to uski hamad ki khushbooz main tak ane lagti hai
 
 
Blogger Templates