Social Icons

Wednesday, 8 April 2015

koi aansoo tere daman par gira kar

apne honton pa sajana chata hoon
aa tuje main gungunana chata hoon

koi aansoo tere daman par gira kar
bond ko moti banana chata hoon

bar gai is had tak be aitmadi
tuj ko bhi tuj se chupana chata hoon

thak gaya main karte karte yaad tuj ko
ab tuje main yaad ana chata hoon

is liey ki hai tarap ki tamana
raqas karne ka bahana chata hoon

aakhri hichki tere zanon par aye
mout bhi main shairana chata hoon

chaa raha hai sari basti pa andhera
roshni ko ghar jalana chata hoon

phool se peker to nikle be murawat
pathron ko bhi azmana chata hoon

reh gai thi kuj kami ruswaion main
phir QATEEL us dar pa jana chata hoon

sab tumare lieye | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

sab tumare lieye
jan e jan yeh jahan , yeh zameen aasman
ye mere rat din . khak hain tere bin
yeh meri zindagi, dosti dushmani
raste, waste, sab tumare lieye
sab tumare lieye'
tum jo daikho to mere  shab o roz ko
koi matlab miley
tum jo poocho to mere har ik harf ko
koi rutba miley
tum jo socho mere waste kuj bhi
main sitaron ko muthi main bar laonga
tum agar aik din muj ko awaz do
main jahan par bhi hoon, lot aoga
yeh mere jism o jan mere sher o sukhan
meri tanhaiyan
bazam araian

ab tumare liey
sab tumare lieye

amjad islam amjad

Tuesday, 7 April 2015

My English Poetry

My English Poetry

Main Or Meri Tanhai , akser yeh batain karte hain

Main Or Meri Tanhai


main or meri tanhai
akser yeh batain karte hain
tum hoti to kesa hota
tum yeh kehtin tum wo kehtin
tum is bat pa heran hotin
tum is bat pa kitna hanstin
tum hoti to aisa hota, tum hoti to wesa hota
main or meri tanhai akser yeh batain kerte hain
yeh rat hai ya tumari zulfain khuli hui
hai chandni ya tumari nazron se meri ratain dhuli hui hain
yeh chand hai ya tumara kangan
sitare hain ya tumara anchal
hawa ka jhonka hai ya tumare badan ki khushboo
yeh pation ki hai sarsarahat . ya tum ne chupke se kuch kaha hai
yeh sochta hoon main kab se gum sum
ke jabke mujko khabar hai . ke tum nai ho
kaheen nai ho
magar ye dil keh raha hai
ke tum yaheen ho yaheen kaheen ho
majbori halat idar b hain udar bhi
tanhai ki aik rat idar bhi hai udar bhi
kehne ko bohot kuch hai magar kis se kahain
kab tak youn hee khamosh rahain or sahain
dil kehta hai dunia ki har rasam utha dain hum
deewar jo hum dono main hi aj gira dain hum
kiyon dil main sulagte rahain hum logon ko bata dain

han han hum ko muhabbat hai, muhabbat hai, muhabbat
ab dil main yahi bat idar bhi hai udar bhi

Gham hai yaa khushi hai tu , meri zindagi hai tu

Gham hai yaa khushi hai tu
meri zindagi hai tu

aafton ke dour main
chain ki ghari hai tu

meri rat ka charagh
meri neend bhi hai tu

main khizan ki sham hoon
rutt bahar ki hai tu

doston ke darmian
wajah dosti hai tu

meri sari umar main
aik hee kami hai tu

main to wo nai raha
han magar woi hai tu

NASIR is dayar main
kitna ajnabi hai tu
 
 
Blogger Templates