Social Icons

Monday, 6 April 2015

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.

Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.

Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.

Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.

Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.

Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!
......................................

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.

Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai.

Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.

Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal,
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.

Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai.

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.

Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mein

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mein
Ghubaar-e-Shab Ki Udasi Mei Dhal Rahi Huun Mein

Ajeeb Barf Ki Barish Badan Pe Utri Hei
Ke Jis Ki Aag Mei Chup Chaap Jal Rahi Huun Mein

Phir Ik Charaagh Jala Shaam Ki Haveli Mein
Phir Ik Dard Se Aakhir Sambhal Rahi Huun Mein

Ye Rakh Rakhaao Usay Jeenay Naheen De Ga
Ke Apne Aap Mei Kaisay Pighal Rahi Huun Mein

Ye Ishq Sach Se Juda Kaisay Ho Gaya Jaana.?
Ab Is Sawaal Se Bahar Nikal Rahi Huun Mein

Bas Ik Ishq Meri Zaat Per Saheefa Ho
Mere Khuda! Ye Aqeeda Badal Rahi Huun Mein..!
 
 
Blogger Templates