Social Icons

Monday, 6 April 2015

Aazadion ke nam pa ruswaian milin


Aazadion ke nam pa ruswaian milin
mushkil se tere dard ki panhaian milin

saqi ne jhoot bola hai fasl e bahr ka
gulshan main siraf apki angraian milin

tuj ko mile hain qaria mehtab main garhe
hum ko to pathar main bhi rahnaian milin

inpar nisar mehfil e hasti ki ronaqin
aye dost mehkade mai jo tanhain milin

har tajrbe main saghir meh ka jawaz hai
far falsafe main zulaf ki gehrain milin

Sunday, 5 April 2015

aye dewao kuch to bolo Saghar Sadiqui

aye dewao kuch to bolo
jhooti chup ke bandan kholo

shayad koi qalzam nikle
sehraon ki jaib tatolo

inka wada subh ka tara
yeh chingari man main chubolo

is shab ki majrooh seher tak
jalte rehna dil ke phapolo

rat ka panchi kehta jaye
din char aya hai aankhain kholo

sada pani meh ban jaey
saghir ke ashar ko golo

ankhain roshan hain jaib khali hai

ankhain roshan hain jaib khali hai
zulmaton mai kiran sawali hai

hadison ne rubab chere hain
waqat ki aankh lagne wali hai

hussan pathar ki aik moorat hai
ishq pholon ki aik dali hai

aaine se hazoor ke manind
chishm ka wasta khiali hai

mout aik ang'nabeen ka saghir hai
zindagi zeher ki piali hai

umeed ke moti arzan hain darwesh ki jholi khali hai


umeed ke moti arzan hain darwesh ki jholi khali hai
phoolon ke mehekte daman hain darwesh ki jholi khali hai

ehsas sifati pathar hai , iman sulagti dhoni hai
be rang mizaj doran hain . derwesh ki jholi khali hai

benoor murawat ki ankhain . be kef anayat ke jazbe'
har simat badalte unwan hain darwesh ki jholi khali hai

gudrri ke phatkey tukre saghar , ajsam takhayal kia dhanpain
faryaad ke nuqte heeran hain darwesh ki jholi khali hai

aaj tumhari saalgirah hai | Birthday Poetry

jalti shamein roshan chehre
kamni ladiyaan nazuk sehray
nargis,bela,motia,lala
juhi,champa aur banafsha
har koi shaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na

AAJ TUMHARI SALGIRA HAI


hum tou sirf duago log
khaak o maher ka kya sanjoug
paas rahein ya door rahein
wehshat se ranjoor rahein
mehfil tou aabaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na

tark e taaluq khoob kiya
dil per kari waar saha
nouch di konpal chahat ki
aas na rakhi raahat ki
dil meho e fariyaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na

kaise kaise khwaab bunay
rang brange khwaab chunay
saalgirah ka cake katey ga
haath pe un ka haath rahe ga
khwaab har aik barbaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na.....!!!
 
 
Blogger Templates