Social Icons

Saturday, 4 April 2015

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan
Bujhi hain dard ke shamein, k so gya hy badan

Sulag rahi hain na jany, kis aanch se aankhein
Na aansooan ke talab hy, na rat jago’N ke thakan

Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pe na ja
Yeh aj k qad-o-gaisoo hain, kal k dar-o-rasan

Bahar-e-qurb se pehly, ujaarh deti hain
Judaion ke hawain, mahabbato’N k chaman

Phir aaj shab tery kadmo’N ke chaap k humraah
Sunai de hy dil-e-na muraad ke dharkan

Yeh zulm dekh k tu jaan-e-shairi hy magar
Meri ghazal mein tera naam bhi hy jurm-e-sukhan

Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hy
Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan

Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta
Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman__
.......

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai
Ye Kiya Karen Hum Ek Doosre Ki Aadat Hai

Tu Apni Sheesha-Gari Ka Hunar Na Kar Zaiya
Mein Aaina Hoon Mujhe Tootne Ki Aadat Hai

Mein Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Q Nahi Aata
Mein Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai

Tere Naseeb Mein Ay DiL ! Sadaa Ki Mehroomi
Na Wo Sakhi, Na Tujhe Maangne Ki Aadat Hai

Wisaal Mein Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Us Ko Neend Mujhe Rut-Jagge Ki Aadat Hai

Ye Mushkilen Hain To Phir Kaisey Raastay Taye Hoon
Mein NaaSaboor Usay Sochne Ki Aadat Hai

Ye Khud Azziyati Kab Tak FaRaZ TU Bhi Essay
Na Yaad Kar K Jisay Bhoolne Ki Aadat Ha
................

Tere lehje pe chaayi rut hai barfaani Nahi jaati

Tere lehje pe chaayi rut hai barfaani Nahi jaati
Tabhi chaahat ki waadi se bhi sunsaani nahi jaati

Tere Mas'hoor lafzoN ne meri palkoN pe jo rakhkhay
Ab in palkoN se un khwaabooN ki taabaani nahi jaati

HawaayeN taiz haiN aanchal ka pallu daikhti rehna!
Keh kaanToN ki chaman maiN bhi prehsni nahi jaati

Jo machli phaiNk di daryaa ki lehroN ne kinaare par
TaRapti hay magar phir daikhnay paani nai jaati

Bhalay dushwaar hoN raahaiN hawaayeN bhi mukhalif hoN
Muhabbat se kisi soorat khush imkaani nahi jaati

Har ik din unginat jazboN ko dil maiN dafn karta hooN
Ghazal se phir bhi jazboN ki faraawaani nahi jaati

HazaaroN raNg maiN malboos daikha jaan-e-jaan ham ne
Tere shaanoN se laikin ik chunar dhaani nahi jaati

Sharaab-e-talkhi-e-haalaat pi lainay se mushkil main
"Bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahi jaati"

Poetry

Poetry

Poetry

My Poetry
 
 
Blogger Templates