skip to main |
skip to sidebar
Firdosi Quotes | Urdu Saying by Firdosi
- alim pani ke bagair serab hai or jahil pani ke mojon main reh kar bhi piasa reta hai
- sher ka bacha yaqeenan sher hee bane ga khawa iski tarbiat kahee b ho
- nasal o nasab ka faisla zubani kamali nai bulke talwaro ki chaon main hota hai
- daria ka josh or mard ki jawani yaksan ehmiat ki hamil hai
- haqeeqi ishq to wo hai jo jazba amal ko or barrka de
- badshah se wafadari ki majlison min shirkat nai bulke razmon main saf arai hai
- mera nasab kia poochta hai meri talwar khud mere khoon se tuje agah kerdegi
- badshaho ke kiay khof , khof to badshaho ke badshah se hota hai
Shaikh Sadi Quotes | Shaikh Sadi RA Aqwal E Zareen
- iski himat pa qurban jo naik kam ikhilas se karta hai
- harees admi sari dunia ko leker b bhooka hai
- jo naseehat nai sunta wo malamat sunne ka shouq rakhta hai'
- bad-sarishto ke sath hissn e salook aisa hai jese naiko ke sath badi karna
- bakheel admi ki dolat is waqat zameen se nikalti hai jab wo zameen ke neeche hota hai
Hafiz Sherazi RA Quotes | Aqwal E Zareen By Hafiz Sherazi RA
- hum garoor ki jam se mast hain or iska nam hum ne hoshiari rakha hai
- raftagan tareeqat ko daikh kar aade jo se bhi qabae atlaso widia ko nai khreedte inko is se hazar bezari hai
- tawakul ke astane pa poncha ja sakta hai laikin akhirat ki sarwari ke asman pa urooj karna bara mushkil kam hai
- kuj na kuj aib sab main hote hain faraq yeh hai ke aqalmand apne aib khud mehsoos karleta hai dunia nai mehsoos karti bewaqoof apne aib khud nai mehsoos karta dunia karti hai
- jo mehrbani kerne wale ko kameena smjta hai is se ziada kameena koi doosra nai hai
- zamana kitabo se beter muhalam hai
Hazrat Fazeel RA Quotes | Urdu Quotes Of Hazrat Fazeel RA
- baz log jae taharat se pak hoker bahir ate hain or baz log khana kahba se bahir ate hain to paleed aty hain
- aqalmando ke sath jang karna bewaqoofo ki sath halwa khana se zaiada asan hai
- jo insan char-paya ko lanat karta hai charpaya yeh kehta hai ke meri or teri taraf se amin ho or jo muj main or tuj main se ALLAH ka ziada gunigar hai is par lanat ho
- agar muje khabar dain ke teri dua qabool hogai jo chata hai talab kar to main wo dua badshah ke haq main saraf karo ga ku ke agar main wo dua apni islah ke lie karo ga ro wo mehez meri
Aqwal E Zareen Maroof Karkhi RA
- bagair amal kiey hue beheshat ki arzoo karna gunah hai , bagair adae sunnat ke umeed shafat karna mehez garoor or dhoka hai or bagair farma-bardari umeedwar e rehmat hona mehez jahalat hai or hamaqat hai
- dolat ke bhooke ko kabhi haqeeqi rahat nai ho sakti
- aisi bat main guftugu karna jis main faida na ho alamat zalalat o gumrahi ha
- jis tarha burai sunne ko napasad karta hai isi tarha apne aapko madah sarai se be bacha
- Allah jab kisi bande ki ballai chata hai to jussan amal ka darwaza ispar khol deta hai