Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,
Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,
Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,
Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,
Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..
Tuesday, 19 May 2015
Kal jab milay thay to dil me hua eik sound,
Kal jab milay thay to dil me hua eik sound,
Or aaj milay to kehte ho your file not found,
Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar dunga,
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar dunga,
Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye,
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye,
Lakhon honge nigah me, kabhi mjhe bhi pick karo,
Mere pyar ke icon pe kabhi to double click karo..

Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai
Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ny wo mere liye hi bana “rakhi” hai
Kehtay hain k “rakhi”hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene”rakhi” se laga”rakhi” hai
Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai
Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht”rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,
Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,
Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,
Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,
Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,
Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..

Uska rishta na hone ka bayas uska abba tha,
Uska rishta na hone ka bayas uska abba tha,
Sab khairaan the usne aisa abba kahan se labba tha,
Samajh nahi aati bati dhaarein wo kiss se bahkhshaye,
Uski maa to feeder thi, aur suke doodh ka dibba tha,
Us jagah par kafi loki manatein mangne pohanche,
Pichle ware jaha par humne, moya kukad dabba tha.

Ye baat samajh me aayi nahi | Funny Poetry
Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata
Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata
bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz
Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz
Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Bohot mazloom hai is sher main shahir ki ghar wali
Bohot mazloom hai is sher main shahir ki ghar wali
muhabbat ki ghaza se ab tak iska pait khali hai
yeh gori rat ki tanhaion main ho gai kaali
karachi main jo reti hai yeh aisi hai mian wali
Khushi Nama | Gham Or Khushi Ka Sath
insan ki zindagi main jab bhi sans chalti hai gham or khushi satah sath rete hian .gham ki tarha khushi bhi insani ehsas ka nam hai .khusahi ka tahaluq insan ki apni mazbooti or musbat soch se hota hai.Gile shikwe karne or manfi soch wala insan kabhi bhi khush nai ho sakta.Insan ke andar ka mousam acha hi to samjain sabhi mosam ache hain matlab agar insan ka mosam acha hai to garmi sardi or bagar khizan sab khush kar
Bazurgon Ke Adab Ka Sila | Mugal Hukumat Ka Qisa
mugal badshah shah-jahan ke intiqal ke bad iski jana-sheeni kamasla khara hua iski waja yeh thi ke iske 2 bete the aik ka nam Aouragzaib tha or doosre ka nam darashikwa tha,dono main takhat nasheeni ke lieye raqabat peda ho gai.
alamger ko apne walid ki janasheeni or badshahat ki talab thi.or iske bahi ko b yahi talab thee, rayast ke
Lahoo Ke Rishton Main Faraq Kiyoun
main aisa sochta hoon ke aisa kiyou hota hai ke dolat ki jankar dilo se muhabatain nikal kar nafratian bar deti hai .apnaiat ke khush rang phoolon ki jaga beganiat ke zehreele kante danam main dal deti hai ye maya dewi itni zalim kiyoun hai ke apno ki pechan tak bula deti hai begano ki to bat alag hai sage khoon ke rishte tak bula deti hai riishto ka taqadus isstarha pamal kiya jata hai ke dil khoon ke ansoo rota hai.
Baaz auqat sage maan bap bhi aulad main faraq kar jate hain or yeh faraq zayada daikhne main wah aata hai jahan ameeri gareebi ka faraqa mouh khole khara ho . ghreeb aulad ameer aulad ke muqable main haqeer or

Zulfiqar Ali Bhutto Quotes | Urdu saying of Zulfiqar Ali Bhutto
Zulfiqar Ali Bhutto was founder of Pakistan People Party.He become Prime Minister of Pakistan in 1970, Present constitution of Pakistan is given by Him in 1973
- kisi mulk ki kharja policy is ki dakhli palision or qoumi mafad par tashkeel pati hai or kharja palisian dakhli halat par hamesha asar andaz hoti hain
- hamain aisi imdad ki zaroorat nai jo hamain qoumi mafad se be khabar bana de
- awam ki awaz pa kaan dharo , awam ki awaz Allah ki awaz hai
- dunia ki koi taqat gurbat, aflas or jahalt ke khilaf jadojehed nai rok sakti
- jamhooriat waqei koi hathi nai yeh taza hawa ke jhonke kee tarha hai
- qawat ka sar chishma awam hain
- siasat main afham o tafheem se kam nikalta hai
Mohammad Ayub Khan Urdu Quotes
- hamain is bat ki ijazat nai deni chieye ke glat fehmian ,waswasey ,shakook o shobat hum main phoot dalian.sab se barr kar hamain yeh seekhna hai ke aik doosre ke jazbat or ehsasat ka ehtiram karain
- nazriati ikhtalafat ko talkhi or tashadud main nai dhalna chieye
- mashriq main woi jamhooriat kamyab ho sakti hai jo bara e rasat awam se tahaluq rakhti ho jise awam samjain or amal main lain
- hamari mehnat or isar hamari ainda naslon ki purwaqar azadi zindagi diantdari or maqsadiat ke pesh khema ho sakti hai
- qoumo ka difah aslah se nai balke jazba e iman se hota hai
Monday, 18 May 2015
Best Words From My Diary
Shaikh sadi kehte hain ke tahajub hai ke Allah apni sari makhlooq main se muje nai bhoolta magar mera to aik hee Allah hai jab ke main usko bhool jata hoon
agar andhere main saya sath chor deta hia to zayada roshni main bhi sath nai deta
faraq bus itna hai ameeri main hum logo ko chor dete hain or ghreebi main log hamain chor dete hain
agar andhere main saya sath chor deta hia to zayada roshni main bhi sath nai deta
faraq bus itna hai ameeri main hum logo ko chor dete hain or ghreebi main log hamain chor dete hain
Sunday, 17 May 2015
log hote hain beshter jese
log hote hain beshter jese
band khirki ke mulgaje sheeshe
jinko sooraj ki taiz chamkeeli
dhoop din bhar ujal rakhti hai
sham ke sath hee magar unki
mungujahat bhi lout aati hai
or phir wo siraf chamkte hain
jinke ander ho roshni apne!!!!
band khirki ke mulgaje sheeshe
jinko sooraj ki taiz chamkeeli
dhoop din bhar ujal rakhti hai
sham ke sath hee magar unki
mungujahat bhi lout aati hai
or phir wo siraf chamkte hain
jinke ander ho roshni apne!!!!
zindagi ke raste main Amjad Islam Amjad
zindagi ke raste main
zindagi ke raste main har kisi ko marna hai
sab hee mar bhi jate hain
jeene ki tarha laikin koi koi jeeta hai
zindagi ke raste main har kisi ko marna hai
sab hee mar bhi jate hain
jeene ki tarha laikin koi koi jeeta hai
jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain
jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain
dil ashaaq main halchal si macha dete hain
jaam o meena pa hee nai mouqoof unka karam
mouj main aain to aankhaon se pila dete hain
koi bete to sahi ehle nazar main ja kar
dil ko aik aan main aina bana dete hain
hal e dil usne jo poocha to bhar aye aansoo
naram alfaz bhi zakhmon ko hawa dete hain
too ne daikha ke tere hijar main rone wale
hanste mahool main aik aag laga dete hain
waja e barbadi dil koi agar poochta hai
rone wale teri tasweer dikha dete hain
ab yahi shugal hai din raat muhabbat main naseer
ashk beete huey lamhon ko sada dete hain

Subscribe to:
Posts (Atom)